Letra da Música: Ajooba - Sadhana Sargam

Esse letra de Sadhana Sargam já foi acessado por 526 pessoas.

Publicidade
Comente

Veja também o vídeo da música tocada.


--MALE--
Phoolon mein jo khushboo hai kaise voh aati hai
Titli kahan se yeh saare rang laati hai
Hawa ko basuri banaati hai sangeet kaise
Koyal ne sikhe hai yeh itne pyaare geet kaise
Hai yeh ajoobe lekin ek aur ajooba hai
Dharti se, ambar se, parvat se, saagar se
Humne suna pyaar ajooba hai, oh
Pehli nazar mein hi jo do dilon mein ho
Har voh qaraar ajooba hai, oh

--FEMALE--
Phoolon se jo khushboo aaye ajooba hai
Titli jo saare rang laaye ajooba hai
Basuri ka yeh sangeet ajooba hai
Koyal jo gaati hai geet ajooba hai

--MALE--
Yeh bhi hairaan hai, aisa bhi ek ajooba hai
Ta da da da da da, ta da da da da da
Ta da da da da da da da

--FEMALE--
Ooh

--MALE--
Ta da da da da da, ta da da da da da
Ta da da da da da da da


--FEMALE--
Daali mein mahek hoti hi nahin
Kaliyon mein mahek aa jaati hai
Yeh bhi ajooba hi hai
Saagar se ghata jo uthti hai
Meetha paani barsaati hai
Yeh bhi ajooba hi hai

--MALE--
Jungle mein jugnu ko, dekho to yeh socho
Yeh roshni is mein aayi kaise
Tan mein jo hai jaan, voh kis tarah hai
Mann mein hai armaan, to kis tarah hai
Keh bhi do yeh bhi to, koi ajooba hai

--FEMALE--
Dharti se, ambar se, parvat se, saagar se
Humne suna pyaar ajooba hai, oh
Pehli nazar mein hi jo do dilon mein ho
Har voh qaraar ajooba hai, oh

--MALE--
Phoolon se jo khushboo aaye ajooba hai

--FEMALE--
Titli jo saare rang laaye ajooba hai

--MALE--
Basuri ka yeh sangeet ajooba hai

--FEMALE--
Koyal jo gaati hai geet ajooba hai

--MALE--
Yeh bhi hairaan hai, aisa bhi ek ajooba hai


Kehne ko saath ajoobe hai
Par shaayad log yeh bhoole hai
Ek aur ajooba bhi hai
Resham resham, chandan chandan
Tera maheka maheka yeh badan
Koi ajooba bhi hai
Aankhon ke neele darpan, honton ka yeh bheegapan
Yeh roop tera, ajooba yeh to hai
Baahon ki garmi, yeh bhi ajooba hai
Aankhon ki narmi, yeh bhi ajooba hai
Yeh chaman sa badan koi ajooba hai
Dharti se, ambar se, parvat se, saagar se
Humne suna pyaar ajooba hai

--FEMALE--
Pehli nazar mein hi jo do dilon mein ho
Har voh qaraar ajooba hai

--MALE--
Phoolon se jo khushboo aaye

--FEMALE--
Ajooba hai

--MALE--
Titli jo saare rang laaye

--FEMALE--
Ajooba hai

--MALE--
Basuri ka yeh sangeet

--FEMALE--
Ajooba hai

--MALE--
Koyal jo gaati hai geet

--FEMALE--
Ajooba hai

--MALE--
Yeh bhi hairaan hai jispe tum voh ajooba ho

--BOTH--
La la la la la la, la la la la la la
La la la la la la la la
La la la la la la, la la la la la la
La la la la la la la la

Tell A Friend


Quer fazer uma correção nesta letra?





    Comentários (0) Postar um Comentário

    Nenhum comentário encontrado. Seja o primeiro!