Letra da Música: Zameen Ka Phool Ho - Kavita Krishnamurthy

Esse letra de Kavita Krishnamurthy já foi acessado por 161 pessoas.

Publicidade
Comente

oi kisiko kyon achha lagta hain
koi kisiko dekh kar kyon apne hosh kho deta hain
kisiki hairaan aankhen ek haseen chehre ko dekhti hain
aur dil mein anginat maasoom sawaal karwaten badalne lagte hain

zameen ka phool ho ya hoor aasmaan ki ho
la la la la la la la
la la la la la la la
hmm hmm hmm hmm
zameen ka phool ho ya hoor aasmaan ki ho - 2
main sochata hoon ke tum kaun ho kaha ki ho
zameen ka phool ho ya hoor aasmaan ki ho

yeh jism geet hain khushbu hain ya hain deep jala
yeh zulf raat hain baadal hain ya hain koi bala
yeh aankhen jaadu hain jheelen hain ya ke paimaana
yeh chehra khwaab hains sach hain ya koi afasaana
woh des kitna haseen hoga tum jahaan ki ho
main sochata hoon ke tum kaun ho kaha ki ho
zameen ka phool ho

tumhare layje mein sheeshe khanakte hain jaise
tumhare chhuune se pathhaar pighalte hain jaise
kiran si phootti hain tum jo muskurati ho
nazaaren gaate hain tum jo nazar uthaati ho
yaha ki ho ya kisi aur kehkasha ki ho
main sochata hoon ke tum kaun ho kaha ki ho
zameen ka phool ho ya hoor aasmaan ki ho
main sochata hoon ke tum kaun ho kaha ki ho
zameen ka phool ho ya hoor aasmaan ki ho
la la la la la la la
la la la la la la la
hmm hmm hmm hmm

Tell A Friend

Quer fazer uma correção nesta letra?





    Comentários (0) Postar um Comentário

    Nenhum comentário encontrado. Seja o primeiro!