Esse letra de Geeta Dutt já foi acessado por 121 pessoas.
Veja também o vídeo da música tocada.
Baabuji dhire chalna, pyaar mein zara sambhalna
Haa bade dhokhe hain, bade dhokhe hain is raah mein,
Baabuji dhire chalna.
Kyu ho khoye huye sar jhukaaye, jaise jaate ho sab kuchh lutaaye
Ye to baabuji pehla qadam hai, nazar aate hain apne paraaye
Haa bade dhokhe hain, bade dhokhe hain is raah mein,
Baabuji dhire chalna.
Ye mohabbat hai oh bholebhaale, kar na dil ko ghamo ke havaale
Kaam ulfat ka naazuk bahut hai, aake hontho pe tootenge pyaale
Haa bade dhokhe hain, bade dhokhe hain is raah mein,
Baabuji dhire chalna.
Ho gayi hai kisi se jo anban, thaam le dusra koyi daaman
Zindagaani ki raahein ajab hain, ho akela to laakho hain dushman
Haa bade dhokhe hain, bade dhokhe hain is raah mein,
Baabuji dhire chalna.
Para enviar você precisa efetuar um cadastro gratuito no site. Caso já tenha um cadastro, acesse aqui.
Acesse agora, navegue e crie sua listas de favoritos.
Entrar com facebook Criar uma conta gratuita
Comentários (0) Postar um Comentário