Esse letra de A. R. Rahman já foi acessado por 217 pessoas.
Veja também o vídeo da música tocada.
(Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara…
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta) -2
Mitti ki jo khushboo, tu kaise bhoolaayega
Tu chaahe kahin jaaye, tu laut ke aayega
Nayi nayi raahon mein, dabi dabi aahon mein
Khoye khoye dilse tere, koyi ye kahega
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
(Hmm…hmm…hmm…hmm…hmm…)
Tujhse zindagi, hai ye keh rahi
Sab toh paa liya, ab hai kya kami
Yun toh saare sukh hai barse
Par door tu hai apne gharse
Aa laut chal tu ab diwaane
Jahaan koyi toh tujhe apna maane
Awaaz de tujhe bulaane, wahi des
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
(Hmm…hmm…hmm…hmm…hmm…)
Ye pal hai wahi, jis mein hai chhupi
Koyi ek sadi, saari zindagi
Tu na poochh raaste mein kaahe
Aaye hain is tarha do raahein
Tu hi toh hai raah jo sujhaaye
Tu hi toh hai ab jo ye bataaye
Chaahe toh kis disha mein jaaye wahi des
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
Hmm…hmm…hmm…
Para enviar você precisa efetuar um cadastro gratuito no site. Caso já tenha um cadastro, acesse aqui.
Acesse agora, navegue e crie sua listas de favoritos.
Entrar com facebook Criar uma conta gratuita
Comentários (0) Postar um Comentário